38 saalo me 300 guna returns

 

Pura market 10 guna hua he to socho stocks ne kya returns diya hoga? , Sensex 100 se aaj 30000 he yani ki 300 guna or wo bhi 38 saalo me par log equity me rukte kaha he. Bas India me sabko FIX RETURNS chahiye par janab life me kuch b to fix nahi , Jyadatar log LIC or FD me invest karte he jabki LIC majorly to equity me hi invest karti he or tabhi to fix return de paati he, dusri baat agar aapko SBI ki FD pasand he to uska fund Q nahi?.

Ye sirf ek understanding ka gap he, markets jab bhi girta he baat aisi aati he ki ab ye nahi uthega par market har baar sambhal kar dauda he or naya bada high banata gaya he. Jis kisine bhi  jitne saal LIC ko diye utne saal MUTUAL FUNDS ko diye he to aaj ye blog usse padhne ki b jaroorat nahi qki usne ye sab khud experiance kar liya hoga.

Sabko 10 guna ya 300 guna paise to banane he par 14 saal ya 38 saal rukna nahi he, bhaiya investment ko time to dena hi padta he warna growth milega kaise. Mutual fund investment ko logo ne India me seasonal jaisa bana diya he jabki ye ek longterm wealth creation ka sabse achcha marg he.

~ Agar ye blog ya hamari koi baat aapko samajh na aaye to tab tak sirf padhte rahiye par investment to samajhne k baad hi kijiye. Dusri baat k ek baar mutual fund investment ko pura samajhne k baad invest kare or agar invesment k world guru bhi aake aapse nikalne ko kaho to b aap 20/25 saal se pehle nikle nahi. Bas itna kijiye or hume malum he ye decision aapki life bana dega, isse achcha or sahi investment dusra koi ho nahi sakta.

 

Leave a Reply